waraq wahi tha magar dusri parat chahi
varaq vahī thā magar dūsrī parat chāhī
ki maiñ ne us kī mohabbat se manfa.at chāhī
mazā ajab thā mohabbat bharī laḌā.ī meñ
ki chheḌ kar use faurī muzāhimat chāhī
bichhaḌte vaqt use muḌ ke bhī nahīñ dekhā
tamām umr judā.ī meñ āfiyat chāhī
maiñ aur hī thā judā hī thā is zamāne se
aur us ne qais ke jaisī mutābaqat chāhī
ḳhud apnī ziist ko barbād kar liyā āḳhir
ki jis ne mujh se zarā bhī munāfiqat chāhī
na jaane kyoñ mujhe Thukrā diyā zamāne ne
na sīm-o-zar kī talab kī na saltanat chāhī
bas ek baar mujhe khol kar paḌhā 'ābid'
phir us ne merī mohabbat se ma.azarat chāhī
waraq wahi tha magar dusri parat chahi
ki main ne us ki mohabbat se manfat chahi
maza ajab tha mohabbat bhari laDai mein
ki chheD kar use fauri muzahimat chahi
bichhaDte waqt use muD ke bhi nahin dekha
tamam umr judai mein aafiyat chahi
main aur hi tha juda hi tha is zamane se
aur us ne qais ke jaisi mutabaqat chahi
KHud apni zist ko barbaad kar liya aaKHir
ki jis ne mujh se zara bhi munafiqat chahi
na jaane kyon mujhe Thukra diya zamane ne
na sim-o-zar ki talab ki na saltanat chahi
bas ek bar mujhe khol kar paDha 'abid'
phir us ne meri mohabbat se mazarat chahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.