waraq waraq pe fasana bikharne wala tha
varaq varaq pe fasāna bikharne vaalā thā
bachā liyā mujhe us ne maiñ marne vaalā thā
shagufta phuul pareshāñ huā to ġham na karo
ki vo to yuuñ bhī havā meñ bikharne vaalā thā
maiñ us ko dekh ke phir kuchh na dekh pā.ūñgā
ye hādisa bhī mujhī par guzarne vaalā thā
pahāḌ sīna-sipar ho gayā thā mere liye
vagarna mujh meñ samundar utarne vaalā thā
maiñ be-qusūr huuñ ye faisla huā varna
maiñ apne jurm kā iqrār karne vaalā thā
umaD paḌā thā jo sailāb-e-hijr-e-tanhā.ī
vo shahr-e-dil ko bhī ġharqāb karne vaalā thā
waraq waraq pe fasana bikharne wala tha
bacha liya mujhe us ne main marne wala tha
shagufta phul pareshan hua to gham na karo
ki wo to yun bhi hawa mein bikharne wala tha
main us ko dekh ke phir kuchh na dekh paunga
ye hadisa bhi mujhi par guzarne wala tha
pahaD sina-sipar ho gaya tha mere liye
wagarna mujh mein samundar utarne wala tha
main be-qusur hun ye faisla hua warna
main apne jurm ka iqrar karne wala tha
umaD paDa tha jo sailab-e-hijr-e-tanhai
wo shahr-e-dil ko bhi gharqab karne wala tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.