waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa
varaq varaq sā bikhartā kitāb-e-ġham jaisā
milegā shahr meñ shāyad hī koī ham jaisā
har ek yād-e-guzishta ko dāvateñ de kar
manā.e jashn-e-hasīñ koī jashn-e-ġham jaisā
kabhī vo anjuman-e-dil kabhī vo sirf sukūt
kabhī vo had se tajāvuz kabhī vo kam jaisā
gale lagā ke jise ḳhuub ro.e ḳhuub hañse
kabhī milā hī nahīñ koī ham se ham jaisā
maiñ ek pyaas kā sahrā aziim lā-mahdūd
vo ik tavīl samundar magar hai kam jaisā
vo duur duur kā manzar maiñ lamha lamha talāsh
vo fāsloñ kī tarah maiñ qadam qadam jaisā
huzūr-e-ishq kī is bārgāh meñ 'sājid'
hameñ ḳhitāb milā hai janāb-e-ġhum jaisā
waraq waraq sa bikharta kitab-e-gham jaisa
milega shahr mein shayad hi koi hum jaisa
har ek yaad-e-guzishta ko dawaten de kar
manae jashn-e-hasin koi jashn-e-gham jaisa
kabhi wo anjuman-e-dil kabhi wo sirf sukut
kabhi wo had se tajawuz kabhi wo kam jaisa
gale laga ke jise KHub roe KHub hanse
kabhi mila hi nahin koi hum se hum jaisa
main ek pyas ka sahra azim la-mahdud
wo ek tawil samundar magar hai kam jaisa
wo dur dur ka manzar main lamha lamha talash
wo faslon ki tarah main qadam qadam jaisa
huzur-e-ishq ki is bargah mein 'sajid'
hamein KHitab mila hai janab-e-ghum jaisa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.