Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

warna be-mani-o-be-kar gine jaenge

Iliyas Babar Aawan

warna be-mani-o-be-kar gine jaenge

Iliyas Babar Aawan

MORE BYIliyas Babar Aawan

    varna be-ma.anī-o-be-kār gine jā.eñge

    shukr ham tere taraf-dār gine jā.eñge

    ham pe vo dhuup abhī Thiik se niklī nahīñ

    ham jahāñ sāya-e-dīvār gine jā.eñge

    roz kuchh ḳhvāb banātā hai unheñ toḌtā huuñ

    in meñ se Thiik to do-chār gine jā.eñge

    is qadar aap ne rakkhā hai hañsī ko arzāñ

    kal kalāñ aap bhī bāzār gine jā.eñge

    aap bhī ḳhush nazar aate haiñ ki kuchh ġham na ho

    aap bhī mujh se adākār gine jā.eñge

    aap ke ginñe ke andāz se lagtā hai ki jald

    jo haiñ is paar vo us paar gine jā.eñge

    vo bhī din aa.egā do haath chhuveñge ham ko

    aur ham bhī gul-o-gulzār gine jā.eñge

    aap bhī kholte phirte haiñ purānī girheñ

    ek din aap bhī ġhaddār gine jā.eñge

    warna be-mani-o-be-kar gine jaenge

    shukr hum tere taraf-dar gine jaenge

    hum pe wo dhup abhi Thik se nikli hi nahin

    hum jahan saya-e-diwar gine jaenge

    roz kuchh KHwab banata hai unhen toDta hun

    in mein se Thik to do-chaar gine jaenge

    is qadar aap ne rakkha hai hansi ko arzan

    kal kalan aap bhi bazar gine jaenge

    aap bhi KHush nazar aate hain ki kuchh gham hi na ho

    aap bhi mujh se adakar gine jaenge

    aap ke ginne ke andaz se lagta hai ki jald

    jo hain is par wo us par gine jaenge

    wo bhi din aaega do hath chhuwenge hum ko

    aur hum bhi gul-o-gulzar gine jaenge

    aap bhi kholte phirte hain purani girhen

    ek din aap bhi ghaddar gine jaenge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now