warna zaKHmi koi rahgir nahin ho sakta
varna zaḳhmī koī rahgīr nahīñ ho saktā
is kamāñ-dār kā ye tiir nahīñ ho saktā
sāya-dārī key rivāyat kā agar paas rakheñ
phir khujūroñ kā to shahtīr nahīñ ho saktā
dafn haiñ haath hamāre isī malbe meñ kahīñ
ye ḳharāba kabhī ta.amīr nahīñ ho saktā
kyā sitam hai ki bichhaḌ kar tirā phir se milnā
vaj.h-e-tabdīlī-e-taqdīr nahīñ ho saktā
aisī paivast haiñ pairoñ meñ ye kaḌiyāñ ki 'farāġh'
koī bhī shāmil-e-zanjīr nahīñ ho saktā
warna zaKHmi koi rahgir nahin ho sakta
is kaman-dar ka ye tir nahin ho sakta
saya-dari key riwayat ka agar pas rakhen
phir khujuron ka to shahtir nahin ho sakta
dafn hain hath hamare isi malbe mein kahin
ye KHaraba kabhi tamir nahin ho sakta
kya sitam hai ki bichhaD kar tera phir se milna
wajh-e-tabdili-e-taqdir nahin ho sakta
aisi paiwast hain pairon mein ye kaDiyan ki 'faragh'
koi bhi shamil-e-zanjir nahin ho sakta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.