wasf-e-shifa dawaon mein hukm-e-KHuda se hai
vasf-e-shifā davāoñ meñ hukm-e-ḳhudā se hai
ye sochnā ġhalat hai ki sab kuchh davā se hai
pyāla bharā jo ġham kā vo merī ḳhatā se hai
patjhaḌ se hai gila na shikāyat havā se hai
ye kis ne kah diyā hai ki dar dar kī ḳhaak chhān
jannat kā sīdhā rāsta maañ kī duā se hai
majbūr ho gayā hai za.īfī meñ jo shajar
is kā ye haal apne phaloñ kī ḳhatā se hai
luqma nahīñ hai peT meñ jis ke koī halāl
vo shaḳhs apnī zaat kā dushman sadā se hai
maiñ us ke paas paas saraktā vo duur duur
saaya bhī dekho phuul kā rūThā sadā se hai
wasf-e-shifa dawaon mein hukm-e-KHuda se hai
ye sochna ghalat hai ki sab kuchh dawa se hai
pyala bhara jo gham ka wo meri KHata se hai
patjhaD se hai gila na shikayat hawa se hai
ye kis ne kah diya hai ki dar dar ki KHak chhan
jannat ka sidha rasta man ki dua se hai
majbur ho gaya hai zaifi mein jo shajar
is ka ye haal apne phalon ki KHata se hai
luqma nahin hai peT mein jis ke koi halal
wo shaKHs apni zat ka dushman sada se hai
main us ke pas pas sarakta wo dur dur
saya bhi dekho phul ka ruTha sada se hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.