wasf rakkha hai wo qalandar ka
vasf rakkhā hai vo qalandar kā
jo miTā de likhā muqaddar kā
sang-dil ke javāb meñ mujh ko
dil banānā paḌā hai patthar kā
umr bhar tishna-kām rahnā hai
paanī khārā hai jab samundar kā
un se mil kar ye inkishāf huā
aañkh kartī hai kaam ḳhanjar kā
'shamsī' duniyā pe hukmrānī ko
hausla chāhiye sikandar kā
wasf rakkha hai wo qalandar ka
jo miTa de likha muqaddar ka
sang-dil ke jawab mein mujh ko
dil banana paDa hai patthar ka
umr bhar tishna-kaam rahna hai
pani khaara hai jab samundar ka
un se mil kar ye inkishaf hua
aankh karti hai kaam KHanjar ka
'shamsi' duniya pe hukmrani ko
hausla chahiye sikandar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.