wasf suraj hai raushni kya hai
vasf sūraj hai raushnī kyā hai
tū agar hai to zindagī kyā hai
ḳhud se terī hī guftugū hai miyāñ
zikr terā hai shā.irī kyā hai
kaun jaane ki ye mirī duniyā
mere baare meñ sochtī kyā hai
terā aanā hai aur jaanā hai
guftugū kyā hai ḳhāmushī kyā hai
ḳhvāb meñ bhī use na chhū paa.e
ham se pūchho ki bebasī kyā hai
us ke lahje se sar nikalte haiñ
saaz kyā hai ye bāñsurī kyā hai
wasf suraj hai raushni kya hai
tu agar hai to zindagi kya hai
KHud se teri hi guftugu hai miyan
zikr tera hai shairi kya hai
kaun jaane ki ye meri duniya
mere bare mein sochti kya hai
tera aana hai aur jaana hai
guftugu kya hai KHamushi kya hai
KHwab mein bhi use na chhu pae
hum se puchho ki bebasi kya hai
us ke lahje se sar nikalte hain
saz kya hai ye bansuri kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.