wasili si hawaen hain watan mein
vasīlī sī havā.eñ haiñ vatan meñ
ghulā hai zahr yuuñ gañg-o-jaman meñ
qafas meñ hī lage mahfūz rahnā
parinde ab nahīñ uḌte gagan meñ
luTegā kārvāñ kaise nahīñ ab
hue rahbar hī shāmil rāhzan meñ
guloñ meñ jalne kī bū aa rahī hai
lagā.ī aag ye kis ne chaman meñ
siyāsat khel apnā kheltī hai
laḌātī ab 'ibādat aur bhajan meñ
luTāte jaan apnī sarhadoñ par
javān aate tirañge ke kafan meñ
'anīs' us ko kaheñ kaise suḳhanvar
likhe tahrīr zahrīlī suḳhan meñ
wasili si hawaen hain watan mein
ghula hai zahr yun gang-o-jaman mein
qafas mein hi lage mahfuz rahna
parinde ab nahin uDte gagan mein
luTega karwan kaise nahin ab
hue rahbar hi shamil rahzan mein
gulon mein jalne ki bu aa rahi hai
lagai aag ye kis ne chaman mein
siyasat khel apna khelti hai
laDati ab 'ibaadat aur bhajan mein
luTate jaan apni sarhadon par
jawan aate tirange ke kafan mein
'anis' us ko kahen kaise suKHanwar
likhe tahrir zahrili suKHan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.