wasl-e-rangin ka maza itna na luT
vasl-e-rangīñ kā mazā itnā na luuT
āgahī-o-hosh kā rishta hī jis se jaa.e TuuT
mat samajh us kī vafā ko jhūT-mūT
aise aksar 'ishq meñ taqdīr bhī jaatī hai phuuT
itnī bad-mastī bhī to achchhī nahīñ
kaif-e-dil hai sāġhar-e-mai haath se jaa.e na chhūT
maut zulmat zindagī nūr-e-mudām
kis qadar sangīñ hai ye sach kis qadar rangīñ ye jhuuT
kab talak is ko sañbhāleñ kyā kareñ
'krishn-mohan' man to komal kāñch hai jā.egā TuuT
wasl-e-rangin ka maza itna na luT
aagahi-o-hosh ka rishta hi jis se jae TuT
mat samajh us ki wafa ko jhuT-muT
aise aksar 'ishq mein taqdir bhi jati hai phuT
itni bad-masti bhi to achchhi nahin
kaif-e-dil hai saghar-e-mai hath se jae na chhuT
maut zulmat zindagi nur-e-mudam
kis qadar sangin hai ye sach kis qadar rangin ye jhuT
kab talak is ko sanbhaalen kya karen
'krishn-mohan' man to komal kanch hai jaega TuT
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.