wasl hi wasl rahe hijr ka imkan na ho
vasl hī vasl rahe hijr kā imkān na ho
ai mire dost ye rishta kabhī be-jān na ho
ek qaidī kī tamannā hai nayā shahr mile
shahr aisā ki jahāñ par koī zindān na ho
dil ko raas aa.ī haiñ ye mushkileñ mushkil se bahut
ab maiñ ye chāhtā huuñ zindagī āsān na ho
baat tujh se tire andāz meñ hī kar rahā ho
mere lahje kī akaḌ sun ke tū hairān na ho
is qadar tañg haiñ māyūs nigāheñ us kī
maut bhī sāmne aa.e to pareshān na ho
kis ke aage ye malā.ek kī jabīneñ ḳham haiñ
jis ko sajda ye huā hai kahīñ insān na ho
wasl hi wasl rahe hijr ka imkan na ho
ai mere dost ye rishta kabhi be-jaan na ho
ek qaidi ki tamanna hai naya shahr mile
shahr aisa ki jahan par koi zindan na ho
dil ko ras aai hain ye mushkilen mushkil se bahut
ab main ye chahta hun zindagi aasan na ho
baat tujh se tere andaz mein hi kar raha ho
mere lahje ki akaD sun ke tu hairan na ho
is qadar tang hain mayus nigahen us ki
maut bhi samne aae to pareshan na ho
kis ke aage ye malaek ki jabinen KHam hain
jis ko sajda ye hua hai kahin insan na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.