wasl ka bij bo nahin paya
vasl kā biij bo nahīñ paayā
raat zinda thā so nahīñ paayā
faanī duniyā ke is musāfir ne
vo bhī khoyā hai jo nahīñ paayā
merī āñkhoñ meñ ḳhvāb baste haiñ
zindagī bhar maiñ ro nahīñ paayā
raqs kartā huuñ maiñ udāsī meñ
maiñ ne mahbūb ko nahīñ paayā
us ne mujh se kahā milo 'ahmad'
aur mujh se ye ho nahīñ paayā
wasl ka bij bo nahin paya
raat zinda tha so nahin paya
fani duniya ke is musafir ne
wo bhi khoya hai jo nahin paya
meri aankhon mein KHwab baste hain
zindagi bhar main ro nahin paya
raqs karta hun main udasi mein
main ne mahbub ko nahin paya
us ne mujh se kaha milo 'ahmad'
aur mujh se ye ho nahin paya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.