wasl ke do-chaar lamhe roz gin-gin dekhna
vasl ke do-chār lamhe roz gin-gin dekhnā
rah gayā thā zindagī meñ kyā yahī din dekhnā
us taraf hai vādiyoñ se baam tak utrā dhanak
is taraf majbūriyāñ manzar ye tum bin dekhnā
aaj tere ġham meñ murjhā.e haiñ jo khilte shajar
terī ḳhvāhish meñ hī mar jā.eñge ik din dekhnā
ġham mile mujh ko tire tujh ko milī merī ḳhushī
terā zāhir dekhnā aur merā bātin dekhnā
ai masīhā marz merā ho chukā hai lā-'ilāj
dekhnā hai be-asar ik baar lekin dekhnā
wasl ke do-chaar lamhe roz gin-gin dekhna
rah gaya tha zindagi mein kya yahi din dekhna
us taraf hai wadiyon se baam tak utra dhanak
is taraf majburiyan manzar ye tum bin dekhna
aaj tere gham mein murjhae hain jo khilte shajar
teri KHwahish mein hi mar jaenge ek din dekhna
gham mile mujh ko tere tujh ko mili meri KHushi
tera zahir dekhna aur mera baatin dekhna
ai masiha marz mera ho chuka hai la-'ilaj
dekhna hai be-asar ek bar lekin dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.