wasl ke marhale se hijr ki manzil ki taraf
vasl ke marhale se hijr kī manzil kī taraf
ishq meñ baḌh rahe haiñ āḳhirī mushkil kī taraf
laakh samjhātā huuñ maiñ us ko magar hote hī shaam
ek hasrat chalī aatī hai mire dil kī taraf
be-niyāzāna tirī or chale to the par ab
ġhaur se dekhte haiñ hasrat-e-hā.il kī taraf
shahr kā shahr hai āshob kī zad meñ so yahāñ
kis ko fursat hai ki dekhe haq-o-bātil kī taraf
wasl ke marhale se hijr ki manzil ki taraf
ishq mein baDh rahe hain aaKHiri mushkil ki taraf
lakh samjhata hun main us ko magar hote hi sham
ek hasrat chali aati hai mere dil ki taraf
be-niyazana teri or chale to the par ab
ghaur se dekhte hain hasrat-e-hail ki taraf
shahr ka shahr hai aashob ki zad mein so yahan
kis ko fursat hai ki dekhe haq-o-baatil ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.