wasl ki aarzu kiye na bani
vasl kī aarzū kiye na banī
na banī justujū kiye na banī
shauq ne ham-kalām kar hī diyā
un se be-guftugū kiye na banī
jab rukā ḳhuun ban ga.ī dam par
chāk-e-dil ko rafū kiye na banī
zillat-e-ishq hai vahāñ izzat
shikva-e-ābrū kiye na banī
paak honā hai rind ko lāzim
mai-kashī be-vuzū kiye na banī
qatl Thahrā jo sheva-e-ma.ashūq
hameñ dil ko lahū kiye na banī
us kī tasvīr se bhī thā ye ḳhauf
'dāġh' ko guftugū kiye na banī
wasl ki aarzu kiye na bani
na bani justuju kiye na bani
shauq ne ham-kalam kar hi diya
un se be-guftugu kiye na bani
jab ruka KHun ban gai dam par
chaak-e-dil ko rafu kiye na bani
zillat-e-ishq hai wahan izzat
shikwa-e-abru kiye na bani
pak hona hai rind ko lazim
mai-kashi be-wuzu kiye na bani
qatl Thahra jo shewa-e-mashuq
hamein dil ko lahu kiye na bani
us ki taswir se bhi tha ye KHauf
'dagh' ko guftugu kiye na bani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.