wasl ki baat aur hi kuchh thi
vasl kī baat aur hī kuchh thī
un dinoñ raat aur hī kuchh thī
pahlī pahlī nazar ke afsāne
vo mulāqāt aur hī kuchh thī
aap aa.e the zindagī merī
raat kī raat aur hī kuchh thī
dil ne kuchh aur hī liyā matlab
aap kī baat aur hī kuchh thī
'saif' pī kar bhī tishnagī na ga.ī
ab ke barsāt aur hī kuchh thī
wasl ki baat aur hi kuchh thi
un dinon raat aur hi kuchh thi
pahli pahli nazar ke afsane
wo mulaqat aur hi kuchh thi
aap aae the zindagi meri
raat ki raat aur hi kuchh thi
dil ne kuchh aur hi liya matlab
aap ki baat aur hi kuchh thi
'saif' pi kar bhi tishnagi na gai
ab ke barsat aur hi kuchh thi
- Book : Kham-e-Kakul (Pg. 38)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Al-Hamd Publications, Lahore. Pakistan (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.