wasl ki sans ukhaDne ka waqt
vasl kī saañs ukhaḌne kā vaqt
haa.e vo vaqt bichhaḌne kā vaqt
hijr ke naam kī añgūThī meñ
yaad ke hiire ko jaḌne kā vaqt
titliyāñ duur huiiñ phūloñ se
aa gayā baaġh ujaḌne kā vaqt
tangī-e-vaqt hai aa pyaar kareñ
vaqt-e-fursat rakheñ laḌne kā vaqt
us kī yādoñ se nikalnā hai 'ziyā'
hai na.e ishq meñ paḌne kā vaqt
wasl ki sans ukhaDne ka waqt
hae wo waqt bichhaDne ka waqt
hijr ke nam ki anguThi mein
yaad ke hire ko jaDne ka waqt
titliyan dur huin phulon se
aa gaya bagh ujaDne ka waqt
tangi-e-waqt hai aa pyar karen
waqt-e-fursat rakhen laDne ka waqt
us ki yaadon se nikalna hai 'ziya'
hai nae ishq mein paDne ka waqt
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.