wasl ki zid se uThen hijr ko roya na karen
vasl kī zid se uTheñ hijr ko royā na kareñ
besh-qīmat haiñ ye lamhe inheñ khoyā na kareñ
nāsehā aur batā ham ko ki kyā kyā na kareñ
din meñ soyā na kareñ raat ko jaagā na kareñ
manzil-e-zikr ruḳh-e-yār se aage kuchh ho
ham se to ho nahīñ saktā ise sochā na kareñ
ham ko rahnā hai isī qarya-e-kam-nazrāñ meñ
saḳht mushkil hai yahāñ rah ke dikhāvā na kareñ
jhuuT sau baar kahā jaa.e to sach lagtā hai
mashvara ye hai ki ḳhud par bhī bharosa na kareñ
yaar kahte haiñ ki ye taur-e-junūñ achchhā nahīñ
us kī tasvīr ko āñkhoñ se lagāyā na kareñ
ham nahīñ kar sake logoñ kī nazar ko qaabū
laḌkiyoñ se kaho bārish meñ yuuñ bhīgā na kareñ
ab jidhar dekhiye ik mahshar-e-ḳhūbī hai bapā
aarzū kis kī kareñ kis kī tamannā na kareñ
kaif haiñ aap koī majnūñ-o-farhād nahīñ
pā-barahna nigah-e-ḳhalq meñ aayā na kareñ
wasl ki zid se uThen hijr ko roya na karen
besh-qimat hain ye lamhe inhen khoya na karen
naseha aur bata hum ko ki kya kya na karen
din mein soya na karen raat ko jaga na karen
manzil-e-zikr ruKH-e-yar se aage kuchh ho
hum se to ho nahin sakta ise socha na karen
hum ko rahna hai isi qarya-e-kam-nazran mein
saKHt mushkil hai yahan rah ke dikhawa na karen
jhuT sau bar kaha jae to sach lagta hai
mashwara ye hai ki KHud par bhi bharosa na karen
yar kahte hain ki ye taur-e-junun achchha nahin
us ki taswir ko aankhon se lagaya na karen
hum nahin kar sake logon ki nazar ko qabu
laDkiyon se kaho barish mein yun bhiga na karen
ab jidhar dekhiye ek mahshar-e-KHubi hai bapa
aarzu kis ki karen kis ki tamanna na karen
kaif hain aap koi majnun-o-farhad nahin
pa-barahna nigah-e-KHalq mein aaya na karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.