wasl ko hijr ki dawa samjhe
vasl ko hijr kī davā samjhe
haa.e ye aaj kal ke nā-samjhe
ek bachche kī totlī bāteñ
tum na samjhe to aur kyā samjhe
maiñ tire mas.ale meñ paḌ gayā huuñ
ab mire mas.ale ḳhudā samjhe
ek aazar ne dast-kārī kī
log patthar ko devtā samjhe
chand misre gaḌhe ġhazal kah lī
aur ḳhud ko bahut baḌā samjhe
ik musallas ke tiin kone haiñ
beach meñ dā.era hai kyā samjhe
wasl ko hijr ki dawa samjhe
hae ye aaj kal ke na-samjhe
ek bachche ki totli baaten
tum na samjhe to aur kya samjhe
main tere masale mein paD gaya hun
ab mere masale KHuda samjhe
ek aazar ne dast-kari ki
log patthar ko dewta samjhe
chand misre gaDhe ghazal kah li
aur KHud ko bahut baDa samjhe
ek musallas ke tin kone hain
beach mein daera hai kya samjhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.