wasl mein aapas ki hujjat aur hai
vasl meñ aapas kī hujjat aur hai
is shakar-rañjī meñ lazzat aur hai
kuchh nahīñ vāda-ḳhilāfī kā gila
aap se ham ko shikāyat aur hai
sub.h hote hī badal jā.egī aañkh
raat bhar un kī ināyat aur hai
vaaz kahtā hai jo mai-ḳhāne ke paas
mai-kasho vaa.iz kī nīyat aur hai
saañs ukhḌī hai tire bīmār kī
ab koī dam kī musībat aur hai
hūreñ bhī achchhī haiñ ai zāhid magar
in parī-zādoñ kī sūrat aur hai
ilm jauhar hai 'hafīz' insān kā
sach hai lekin ādmiyat aur hai
wasl mein aapas ki hujjat aur hai
is shakar-ranji mein lazzat aur hai
kuchh nahin wada-KHilafi ka gila
aap se hum ko shikayat aur hai
subh hote hi badal jaegi aankh
raat bhar un ki inayat aur hai
waz kahta hai jo mai-KHane ke pas
mai-kasho waiz ki niyat aur hai
sans ukhDi hai tere bimar ki
ab koi dam ki musibat aur hai
huren bhi achchhi hain ai zahid magar
in pari-zadon ki surat aur hai
ilm jauhar hai 'hafiz' insan ka
sach hai lekin aadmiyat aur hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.