wasl mein pher ke munh hae kisi ka kahna
vasl meñ pher ke muñh haa.e kisī kā kahnā
ham na māneñge na māneñge kisī kā kahnā
ek dushman hai ki tum sunte ho us kā kahnā
ek maiñ huuñ kabhī hotā nahīñ merā kahnā
dilrubā kahtā hai ai yaar dulārā kahnā
ek to naam haiñ do phir tujhe kyā kyā kahnā
ham manāte haiñ tumheñ bahr-e-ḳhudā man jaao
maan lo maan lo ai jaan hamārā kahnā
zeb-e-mahfil bhī ho tum zīnat-e-gulshan bhī ho tum
chaman-ārā ki tumheñ anjuman-ārā kahnā
ek hī vaar meñ sar tan se judā kar Daalā
vaah ai ḳhanjar-e-saffāk tirā kyā kahnā
dekh kar un ko mirā shauq ye kahnā hai mujhe
tujh ko manzūr hai jo kuchh unheñ kahnā kahnā
mujh ko ik jaam pilā kar ye kahā saaqī ne
ho agar aur zarūrat to dobārā kahnā
dard-e-dil dard-e-jigar dekhtā jā ai saaqī
kyā kahā kyā kahā phir kahnā dobāra kahnā
tauba karne kā kahā maiñ ne to saaqī ne kahā
kyā kahā kyā kahā phir kahnā dobāra kahnā
jo burā kahte haiñ kahne do unheñ ai 'sābir'
haq to ye hai ki mire haq meñ hai achchhā kahnā
wasl mein pher ke munh hae kisi ka kahna
hum na manenge na manenge kisi ka kahna
ek dushman hai ki tum sunte ho us ka kahna
ek main hun kabhi hota nahin mera kahna
dilruba kahta hai ai yar dulara kahna
ek to nam hain do phir tujhe kya kya kahna
hum manate hain tumhein bahr-e-KHuda man jao
man lo man lo ai jaan hamara kahna
zeb-e-mahfil bhi ho tum zinat-e-gulshan bhi ho tum
chaman-ara ki tumhein anjuman-ara kahna
ek hi war mein sar tan se juda kar Dala
wah ai KHanjar-e-saffak tera kya kahna
dekh kar un ko mera shauq ye kahna hai mujhe
tujh ko manzur hai jo kuchh unhen kahna kahna
mujh ko ek jam pila kar ye kaha saqi ne
ho agar aur zarurat to dobara kahna
dard-e-dil dard-e-jigar dekhta ja ai saqi
kya kaha kya kaha phir kahna dobara kahna
tauba karne ka kaha main ne to saqi ne kaha
kya kaha kya kaha phir kahna dobara kahna
jo bura kahte hain kahne do unhen ai 'sabir'
haq to ye hai ki mere haq mein hai achchha kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.