wasl-o-furqat azab hain donon
vasl-o-furqat azaab haiñ donoñ
bā.is-e-iztirāb haiñ donoñ
kufr-o-īmāñ savāb haiñ donoñ
tujh se hī faizyāb haiñ donoñ
husn meñ aap ishq meñ ahqar
aap apnā javāb haiñ donoñ
maiñ sar-e-dār vo pas-e-chilman
kis qadar be-hijāb haiñ donoñ
hasrat-e-dīd-o-nā-murādī-e-shaq
ik mukammal azaab haiñ donoñ
aap kā zulm merā sabr-o-shakeb
vāqa.ī be-hisāb haiñ donoñ
maiñ tah-e-teġh vo sar-e-maqtal
aaj to kāmyāb haiñ donoñ
uf vo tābānī-e-lab-o-ruḳhsār
rashk-e-sad-māhtāb haiñ donoñ
wasl-o-furqat azab hain donon
bais-e-iztirab hain donon
kufr-o-iman sawab hain donon
tujh se hi faizyab hain donon
husn mein aap ishq mein ahqar
aap apna jawab hain donon
main sar-e-dar wo pas-e-chilman
kis qadar be-hijab hain donon
hasrat-e-did-o-na-muradi-e-shaq
ek mukammal azab hain donon
aap ka zulm mera sabr-o-shakeb
waqai be-hisab hain donon
main tah-e-tegh wo sar-e-maqtal
aaj to kaamyab hain donon
uf wo tabani-e-lab-o-ruKHsar
rashk-e-sad-mahtab hain donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.