wasl us se na ho visal to ho
vasl us se na ho visāl to ho
kahīñ qisse ko infi.āl to ho
na sahī lutf kuchh itaab sahī
us ke dil meñ mirā ḳhayāl to ho
kyuuñ na tujh ko hinā se ho raġhbat
yuuñ koī aur pā.emāl to ho
maslahat hai tapīdgī dil kī
magar un ko idhar ḳhayāl to ho
qaul apnā yahī hai ai 'raunaq'
koī fan ho magar kamāl to ho
wasl us se na ho visal to ho
kahin qisse ko infial to ho
na sahi lutf kuchh itab sahi
us ke dil mein mera KHayal to ho
kyun na tujh ko hina se ho raghbat
yun koi aur paemal to ho
maslahat hai tapidgi dil ki
magar un ko idhar KHayal to ho
qaul apna yahi hai ai 'raunaq'
koi fan ho magar kamal to ho
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 119)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.