watan jis roz se chhuTa hai wo manzar nahin milta
vatan jis roz se chhūTā hai vo manzar nahīñ miltā
dar-o-dīvār mil jaate haiñ lekin ghar nahīñ miltā
bahut mushkil hai do duniyāoñ meñ ik shaḳhs kā rahnā
jo mujh meñ sochtā hai vo mujhe bāhar nahīñ miltā
na sīkhe baap kī uñglī pakaḌ kar tifl gar chalnā
use manzil to mil jaa.e magar rahbar nahīñ miltā
munāfe.a-ḳhor do din ke liye bhī kar nahīñ sakte
sile meñ jis amal ke naqd-e-māl-o-zar nahīñ miltā
nikāle kaam apnā ḳhauf kī vo parvarish karke
mire dushman ko mujh meñ koī aisā Dar nahīñ miltā
jabīnoñ meñ taḌapte haiñ jo sajde vo kahāñ jaa.eñ
dayār-e-ġhair meñ jab terā sañg-e-dar nahīñ miltā
mirā sajda hai zarb-e-but-shikan pindār ke sar par
yahāñ is raaz se vāqif koī ham-sar nahīñ miltā
zarūrat ke mutābiq sab ko ai 'muḳhtār' miltā hai
gila is baat kā rahtā hai jholī bhar nahīñ miltā
watan jis roz se chhuTa hai wo manzar nahin milta
dar-o-diwar mil jate hain lekin ghar nahin milta
bahut mushkil hai do duniyaon mein ek shaKHs ka rahna
jo mujh mein sochta hai wo mujhe bahar nahin milta
na sikhe bap ki ungli pakaD kar tifl gar chalna
use manzil to mil jae magar rahbar nahin milta
munafea-KHor do din ke liye bhi kar nahin sakte
sile mein jis amal ke naqd-e-mal-o-zar nahin milta
nikale kaam apna KHauf ki wo parwarish karke
mere dushman ko mujh mein koi aisa Dar nahin milta
jabinon mein taDapte hain jo sajde wo kahan jaen
dayar-e-ghair mein jab tera sang-e-dar nahin milta
mera sajda hai zarb-e-but-shikan pindar ke sar par
yahan is raaz se waqif koi ham-sar nahin milta
zarurat ke mutabiq sab ko ai 'muKHtar' milta hai
gila is baat ka rahta hai jholi bhar nahin milta
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 453)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.