watan ke jaan-nisaron ko milengi beDiyan kab tak
vatan ke jāñ-nisāroñ ko mileñgī beḌiyāñ kab tak
liyā jā.egā āḳhir-kār ham se imtihāñ kab tak
uThā kartā rahegā yuuñ nasheman se dhuāñ kab tak
hamāre āshiyānoñ par gireñgī bijliyāñ kab tak
zamīr ahl-e-siyāsat kā bhalā kis roz jāgegā
jalegā nafratoñ kī aag meñ hindostāñ kab tak
na samjhāo hameñ manshūr apne bas ye batlā do
hameñ bhar peT mil pā.eñgī āḳhir roTiyāñ kab tak
asar kab tak kareñgī zahr meñ Duubī ye taqrīreñ
diloñ meñ aap rakheñge hamāre dūriyāñ kab tak
bhalā kis roz TūTeñgī rivāyat kī ye zanjīreñ
jahezoñ ke liye jaltī raheñgī beTiyāñ kab tak
jahāñ hañgāma barpā ho vahāñ hai kufr ḳhāmoshī
ai 'tashna' tum bhī kuchh bolo rahoge be-zabāñ kab tak
watan ke jaan-nisaron ko milengi beDiyan kab tak
liya jaega aaKHir-kar hum se imtihan kab tak
uTha karta rahega yun nasheman se dhuan kab tak
hamare aashiyanon par girengi bijliyan kab tak
zamir ahl-e-siyasat ka bhala kis roz jagega
jalega nafraton ki aag mein hindostan kab tak
na samjhao hamein manshur apne bas ye batla do
hamein bhar peT mil paengi aaKHir roTiyan kab tak
asar kab tak karengi zahr mein Dubi ye taqriren
dilon mein aap rakhenge hamare duriyan kab tak
bhala kis roz TuTengi riwayat ki ye zanjiren
jahezon ke liye jalti rahengi beTiyan kab tak
jahan hangama barpa ho wahan hai kufr KHamoshi
ai 'tashna' tum bhi kuchh bolo rahoge be-zaban kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.