watan ki aan bachane mein pesh-dasti rahi
vatan kī aan bachāne meñ pesh-dastī rahī
shub.h meñ phir bhī hamārī vatan-parastī rahī
payām-e-amn ke na.aroñ kā shor thā barpā
lagī thī aag jo bastī meñ vo dahaktī rahī
samundaroñ kā bulāvā thā vo bhī kyā kartā
guzarte abr ko pyāsī zamīn taktī rahī
havā na jaane badan kis kā chhū ke aa.ī thī
galī hamārī ka.ī roz tak mahaktī rahī
yahī hai qadroñ kī 'imrān' pāsbānī kyā
zamīr martā gayā aur anā panaptī rahī
watan ki aan bachane mein pesh-dasti rahi
shubh mein phir bhi hamari watan-parasti rahi
payam-e-amn ke naron ka shor tha barpa
lagi thi aag jo basti mein wo dahakti rahi
samundaron ka bulawa tha wo bhi kya karta
guzarte abr ko pyasi zamin takti rahi
hawa na jaane badan kis ka chhu ke aai thi
gali hamari kai roz tak mahakti rahi
yahi hai qadron ki 'imran' pasbani kya
zamir marta gaya aur ana panapti rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.