watan ki hai agar pahchan sarhad
vatan kī hai agar pahchān sarhad
laḌā.ī be-vaj.h imkān sarhad
chhupā.e jang kā sāmān sarhad
hai lāshoñ kā bhī qabristān sarhad
agar do bhā.iyoñ ke biich ubhre
banā.e hind-o-pākistān sarhad
lagā donoñ taraf donoñ taraf ko
ajab ḳhatre pe hai hairān sarhad
baTe haiñ baaḌh se jazbāt varna
mohabbat se nahīñ anjān sarhad
'fidā' insān ko de kar tahaffuz
kare insān ko qurbān sarhad
watan ki hai agar pahchan sarhad
laDai be-wajh imkan sarhad
chhupae jang ka saman sarhad
hai lashon ka bhi qabristan sarhad
agar do bhaiyon ke bich ubhre
banae hind-o-pakistan sarhad
laga donon taraf donon taraf ko
ajab KHatre pe hai hairan sarhad
baTe hain baDh se jazbaat warna
mohabbat se nahin anjaan sarhad
'fida' insan ko de kar tahaffuz
kare insan ko qurban sarhad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.