watan se dur ai pyare parinde
vatan se duur ai pyāre parinde
pareshāñ-hāl dukhiyāre parinde
zarūrat ke qafas meñ qaid haiñ sab
ḳhushī se dard ke maare parinde
talāsh-e-rizq meñ nikle gharoñ se
sahar-dam aañkh ke taare parinde
uḌe apne dukhoñ kā bojh Dhone
misāl-e-man thake-hāre parinde
hare sahrā-e-chashm un ke raheñge
bahut ro.e haiñ bechāre parinde
faqat ham hī nahīñ tāriq yahāñ par
safar meñ haiñ bahut saare parinde
watan se dur ai pyare parinde
pareshan-haal dukhiyare parinde
zarurat ke qafas mein qaid hain sab
KHushi se dard ke mare parinde
talash-e-rizq mein nikle gharon se
sahar-dam aankh ke tare parinde
uDe apne dukhon ka bojh Dhone
misal-e-man thake-haare parinde
hare sahra-e-chashm un ke rahenge
bahut roe hain bechaare parinde
faqat hum hi nahin tariq yahan par
safar mein hain bahut sare parinde
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.