waz-dari ka chalan ka na tarahdari ka
vaz'-dārī kā chalan kā na tarahdārī kā
ye zamāna hai numā.ish kā adākārī kā
qāfile se bhī bahut pīchhe haiñ manzil se bhī duur
ye sila ham ko milā qāfila-sālārī kā
ḳhush-libāsī kī ye ḳhūbī ye sifat kam to nahīñ
'aib kuchh der chhupā letī hai nādārī kā
āḳhir ik din abadī niiñd meñ so jā.ūñgā maiñ
ḳhvāb ho jā.egā 'ālam mirī bedārī kā
us kī tā'bīr meñ ik 'umr se huuñ qaidī-e-ġham
ḳhvāb meñ dekhā thā manzar jo giraftārī kā
kyā pasandīda sī shai ho ga.ī zāhir-dārī
jo 'amal hai vo dikhāve kā riyā-kārī kā
aaḌe aa jaatā hai har rāh-e-taraqqī meñ 'vaqār'
mas.ala merī anā kā mirī ḳhud-dārī kā
waz'-dari ka chalan ka na tarahdari ka
ye zamana hai numaish ka adakari ka
qafile se bhi bahut pichhe hain manzil se bhi dur
ye sila hum ko mila qafila-salari ka
KHush-libasi ki ye KHubi ye sifat kam to nahin
'aib kuchh der chhupa leti hai nadari ka
aaKHir ek din abadi nind mein so jaunga main
KHwab ho jaega 'alam meri bedari ka
us ki ta'bir mein ek 'umr se hun qaidi-e-gham
KHwab mein dekha tha manzar jo giraftari ka
kya pasandida si shai ho gai zahir-dari
jo 'amal hai wo dikhawe ka riya-kari ka
aaDe aa jata hai har rah-e-taraqqi mein 'waqar'
masala meri ana ka meri KHud-dari ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.