wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh
vazn ab un kā muayyan nahīñ ho saktā kuchh
barf kī tarah musalmān ghule jaate haiñ
daaġh ab un kī nazar meñ haiñ sharāfat ke nishāñ
na.ī tahzīb kī maujoñ se dhule jaate haiñ
ilm ne rasm ne maz.hab ne jo kī thī bandish
TuuTī jaatī hai vo sab band khule jaate haiñ
shaiḳh ko vajd meñ laa.ī haiñ piyānoñ kī gateñ
pech dastār-e-fazīlat ke khule jaate haiñ
wazn ab un ka muayyan nahin ho sakta kuchh
barf ki tarah musalman ghule jate hain
dagh ab un ki nazar mein hain sharafat ke nishan
nai tahzib ki maujon se dhule jate hain
ilm ne rasm ne mazhab ne jo ki thi bandish
TuTi jati hai wo sab band khule jate hain
shaiKH ko wajd mein lai hain piyanon ki gaten
pech dastar-e-fazilat ke khule jate hain
- Book : Kulliyat-e-akbar (Pg. 49)
- Author : Sayed Akbar husain Akbar Allahabadi
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.