wentilator jism ko naqli sanson se bharta tha
ventilator jism ko naqlī sāñsoñ se bhartā thā
maiñ zinda thā iḳhrājāt ke bojh tale martā thā
TeḌhe-meḌhe aale le ke jism pe TuuT paḌe haiñ
shāyad jaan ga.e haiñ husn kī maiñ puujā kartā thā
helicopter dhīre dhīre uTThā zamīñ tharrā.ī
mere dil kī ye hālat to station kartā thā
saḌak pe piile piile barrier sab kā rasta rokeñ
lekin maiñ chalne kā rasiyā rukne se Dartā thā
red-light pe nañgā bachcha kartab dikhlātā thā
roz kā chalne vaalā raahī roz 'ash-'ash kartā thā
cafe-coffē-day meñ date pe leT hue thoḌe se
haath na aayā jīvan bhar janmoñ kā dam bhartā thā
dharne pe baiThne vaale pāgal pichhḌī zaat ke the sab
D.s.l.r vaalā bas photo session kartā thā
ik tasvīr meñ lahrāyā niilī saaḌī kā pallū
ek divāna us tasvīr pe mī-raqsam kartā thā
raat ke saath jo baat guzartī shaam ko vāpas laatā
shaam Dhale se raat ga.e tak roz yahī kartā thā
shakespeare ne jo likkhā hai us kī apnī qīmat
maiñ thā urdu vaalā 'āġhā-hashr' kā dam bhartā thā
raat ke dil meñ jhāñkte jhāñkte raat guzartī saarī
sub.h alarm sun letā thā phir bistar kartā thā
ḳhud ko natsha-zāda kahtā par sone se pahle
añgrezī meñ kursī paḌh kar ḳhud par dam kartā thā
wentilator jism ko naqli sanson se bharta tha
main zinda tha iKHrajat ke bojh tale marta tha
TeDhe-meDhe aale le ke jism pe TuT paDe hain
shayad jaan gae hain husn ki main puja karta tha
helicopter dhire dhire uTTha zamin tharrai
mere dil ki ye haalat to station karta tha
saDak pe pile pile barrier sab ka rasta roken
lekin main chalne ka rasiya rukne se Darta tha
red-light pe nanga bachcha kartab dikhlata tha
roz ka chalne wala rahi roz 'ash-'ash karta tha
cafe-coffee-day mein date pe leT hue thoDe se
hath na aaya jiwan bhar janmon ka dam bharta tha
dharne pe baiThne wale pagal pichhDi zat ke the sab
Dslr wala bas photo session karta tha
ek taswir mein lahraya nili saDi ka pallu
ek diwana us taswir pe mi-raqsam karta tha
raat ke sath jo baat guzarti sham ko wapas lata
sham Dhale se raat gae tak roz yahi karta tha
shakespeare ne jo likkha hai us ki apni qimat
main tha urdu wala 'agha-hashr' ka dam bharta tha
raat ke dil mein jhankte jhankte raat guzarti sari
subh alarm sun leta tha phir bistar karta tha
KHud ko natsha-zada kahta par sone se pahle
angrezi mein kursi paDh kar KHud par dam karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.