widaa-e-sham bhi tanwir ho rahi thi kahin
vidā.a-e-shām bhī tanvīr ho rahī thī kahīñ
so apnī ḳhaak bhī iksīr ho rahī thī kahīñ
koī ki niiñd se bedār ho rahā thā kahīñ
kisī ke ḳhvāb kī ta.abīr ho rahī thī kahīñ
kahīñ pe jaldī se taḳhlīq ho rahā thā jahāñ
kahīñ pe sūrat-e-tāḳhīr ho rahī thī kahīñ
fanā baqā pe kahīñ rakh rahe the log use
aur us ke husn kī tafsīr ho rahī thī kahīñ
yahāñ pe nīm-shabī ne paḌāv Daal liyā
vahāñ pe sub.h ki taqdīr ho rahī thī kahīñ
hamāre hone se 'iqrār' muddatoñ pahle
hamāre hone kī tadbīr ho rahī thī kahīñ
widaa-e-sham bhi tanwir ho rahi thi kahin
so apni KHak bhi iksir ho rahi thi kahin
koi ki nind se bedar ho raha tha kahin
kisi ke KHwab ki tabir ho rahi thi kahin
kahin pe jaldi se taKHliq ho raha tha jahan
kahin pe surat-e-taKHir ho rahi thi kahin
fana baqa pe kahin rakh rahe the log use
aur us ke husn ki tafsir ho rahi thi kahin
yahan pe nim-shabi ne paDaw Dal liya
wahan pe subh ki taqdir ho rahi thi kahin
hamare hone se 'iqrar' muddaton pahle
hamare hone ki tadbir ho rahi thi kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.