widaa sath tumhaare hi ho gaya suraj
vidā.a saath tumhāre hī ho gayā sūraj
phir us ke ba.ad na ham ko kahīñ milā sūraj
kahīñ ubhar na sakā roz-o-shab kī mahfil meñ
maiñ din kā chāñd rahā aur raat kā sūraj
uThe jo ham se girāñ-gosh to huā ma.alūm
hameñ pukār ke kab kā chalā gayā sūraj
milan kī shaam sahī par milan nasīb kahāñ
to chaḌhte chāñd kī mayyat meñ Dūbtā sūraj
us ek shaam ko jis ke liye the chashm-ba-rāh
ḳhilāf-e-vaqt baḌī der se Dhalā sūraj
'musavvir' aao usī sho.ala-ruḳh kī samt chaleñ
sunā hai Dhaltā nahīñ us ke baam kā sūraj
widaa sath tumhaare hi ho gaya suraj
phir us ke baad na hum ko kahin mila suraj
kahin ubhar na saka roz-o-shab ki mahfil mein
main din ka chand raha aur raat ka suraj
uThe jo hum se giran-gosh to hua malum
hamein pukar ke kab ka chala gaya suraj
milan ki sham sahi par milan nasib kahan
to chaDhte chand ki mayyat mein Dubta suraj
us ek sham ko jis ke liye the chashm-ba-rah
KHilaf-e-waqt baDi der se Dhala suraj
'musawwir' aao usi shoala-ruKH ki samt chalen
suna hai Dhalta nahin us ke baam ka suraj
- Book : Manghii dhire chal (Pg. 20)
- Author : Musavvir Sabzwari
- Publication : Nazish Book Center (1971)
- Edition : 1971
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.