viran jaziron ka safar KHatm na ho jae
vīrān jazīroñ kā safar ḳhatm na ho jaa.e
ye silsila-e-fikr-o-nazar ḳhatm na ho jaa.e
ai ham-nafaso aur qarīb aur qarīb aao
ye mahfil-e-firdaus-nazar ḳhatm na ho jaa.e
ghar meñ bhī nazar ā.eñge andāz-e-bayābāñ
jab tak mirī vahshat kā asar ḳhatm na ho jaa.e
tauqīr-e-mohabbat pe kahīñ harf na aa jaa.e
ai chāragaro dard-e-jigar ḳhatm na ho jaa.e
us shahr kī jānib baḌho ai qāfile vaalo
gunjā.ish-e-arbāb-e-hunar ḳhatm na ho jaa.e
hotī rahī āñkhoñ se jo yuuñ ḳhuun kī bārish
dil ḳhatm na ho jaa.e jigar ḳhatm na ho jaa.e
'bismil' ko na is tarh nigāhoñ se girāo
dariyā-e-mohabbat kā guhar ḳhatm na ho jaa.e
viran jaziron ka safar KHatm na ho jae
ye silsila-e-fikr-o-nazar KHatm na ho jae
ai ham-nafaso aur qarib aur qarib aao
ye mahfil-e-firdaus-nazar KHatm na ho jae
ghar mein bhi nazar aaenge andaz-e-bayaban
jab tak meri wahshat ka asar KHatm na ho jae
tauqir-e-mohabbat pe kahin harf na aa jae
ai chaaragaro dard-e-jigar KHatm na ho jae
us shahr ki jaanib baDho ai qafile walo
gunjaish-e-arbab-e-hunar KHatm na ho jae
hoti rahi aankhon se jo yun KHun ki barish
dil KHatm na ho jae jigar KHatm na ho jae
'bismil' ko na is tarh nigahon se girao
dariya-e-mohabbat ka guhar KHatm na ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.