viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai
vīrāñ vīrāñ bām-o-dar maiñ aur mirī tanhā.ī
tārīkī meñ Duubā ghar maiñ aur mirī tanhā.ī
us ke qad kī ḳhāl-o-ḳhad kī sūrat kī sīrat kī
bāteñ karte haiñ shab bhar maiñ aur mirī tanhā.ī
jaane kis din vo aa jaa.e bāñTe pyaar asāse
darvāza kashkol nazar maiñ aur mirī tanhā.ī
hijr-rutoñ ke ḳhāmoshī ke dil kī betābī ke
haiñ ik muddat se ḳhūgar maiñ aur mirī tanhā.ī
dard samundar meñ 'arshad' thiiñ shiddat-e-ġham kī lahreñ
Duub rahe the biich bhañvar maiñ aur mirī tanhā.ī
viran viran baam-o-dar main aur meri tanhai
tariki mein Duba ghar main aur meri tanhai
us ke qad ki KHal-o-KHad ki surat ki sirat ki
baaten karte hain shab bhar main aur meri tanhai
jaane kis din wo aa jae banTe pyar asase
darwaza kashkol nazar main aur meri tanhai
hijr-ruton ke KHamoshi ke dil ki betabi ke
hain ek muddat se KHugar main aur meri tanhai
dard samundar mein 'arshad' thin shiddat-e-gham ki lahren
Dub rahe the bich bhanwar main aur meri tanhai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.