virani-e-hayat se hasti nahin rahi
vīrānī-e-hayāt se hastī nahīñ rahī
saaqī tirī sharāb meñ mastī nahīñ rahī
ifrāt-e-zar bhī baḌh gayā qaht-ur-rijāl bhī
piite the jo sharāb vo sastī nahīñ rahī
har shahr ajnabī huā aur log ajnabī
saudā.iyoñ kī ab koī bastī nahīñ rahī
maz.hab ke naam par faqat ab kārobār hai
ab but hoñ yā ḳhudā ho parastī nahīñ rahī
kirdār ke qayās kī mīzān kyā huī
lekin vo kah rahe haiñ ki pastī nahīñ rahī
virani-e-hayat se hasti nahin rahi
saqi teri sharab mein masti nahin rahi
ifraat-e-zar bhi baDh gaya qaht-ur-rijal bhi
pite the jo sharab wo sasti nahin rahi
har shahr ajnabi hua aur log ajnabi
saudaiyon ki ab koi basti nahin rahi
mazhab ke nam par faqat ab karobar hai
ab but hon ya KHuda ho parasti nahin rahi
kirdar ke qayas ki mizan kya hui
lekin wo kah rahe hain ki pasti nahin rahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.