virani ke baadal chhane lag gae hain
vīrānī ke bādal chhāne lag ga.e haiñ
panchhī ab us gaañv se jaane lag ga.e haiñ
us ko jab se dekhā mujh ko hosh nahīñ
yaaro mere hosh Thikāne lag ga.e haiñ
shahr se aa.e majnūñ ne ik baat kahī
aur dīvāne ḳhaak uḌāne lag ga.e haiñ
saaqī tere ek ishāra karne par
mai-kash bhī azaan sunāne lag ga.e haiñ
ham ne ab ik aur mohabbat kar lī hai
āñkhoñ ko phir ḳhvāb dikhāne lag ga.e haiñ
is shahr-e-be-zauq meñ kis kā pair paḌā
peḌ parinde sher sunāne lag ga.e haiñ
virani ke baadal chhane lag gae hain
panchhi ab us ganw se jaane lag gae hain
us ko jab se dekha mujh ko hosh nahin
yaro mere hosh Thikane lag gae hain
shahr se aae majnun ne ek baat kahi
aur diwane KHak uDane lag gae hain
saqi tere ek ishaara karne par
mai-kash bhi azan sunane lag gae hain
hum ne ab ek aur mohabbat kar li hai
aankhon ko phir KHwab dikhane lag gae hain
is shahr-e-be-zauq mein kis ka pair paDa
peD parinde sher sunane lag gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.