willain ko film mein hero to mar deta hai
villain ko film meñ hero to maar detā hai
haqīqatoñ meñ villain sar utaar detā hai
zarūr koī mirā qarz utaar detā hai
isī liye vo mujhe phir udhār detā hai
sabhī ko aanā hai ik din usī Thikāne par
yahī ḳhabar hameñ har ik mazār detā hai
jahez lāDlī beTī ko de nahīñ paatā
magar ġharīb use sañskār detā hai
mujhe vo zehn se kaise utaar pā.egā
jo tan se merī nishānī utaar detā hai
chaḌhā ke chaak pe hāthoñ ke kuchh ishāroñ se
kumhār miTTī kī qismat sañvār detā hai
sifat faqīr ke andar ye hotī hai 'ilyās'
sitam zamāne ke sahtā hai pyaar detā hai
willain ko film mein hero to mar deta hai
haqiqaton mein willain sar utar deta hai
zarur koi mera qarz utar deta hai
isi liye wo mujhe phir udhaar deta hai
sabhi ko aana hai ek din usi Thikane par
yahi KHabar hamein har ek mazar deta hai
jahez laDli beTi ko de nahin pata
magar gharib use sanskar deta hai
mujhe wo zehn se kaise utar paega
jo tan se meri nishani utar deta hai
chaDha ke chaak pe hathon ke kuchh ishaaron se
kumhaar miTTi ki qismat sanwar deta hai
sifat faqir ke andar ye hoti hai 'ilyas'
sitam zamane ke sahta hai pyar deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.