visal aise bhi mahnga paDega donon ko
visāl aise bhī mahñgā paḌegā donoñ ko
bichhaḌne ke liye milnā paḌegā donoñ ko
phir aise tark-e-ta.alluq kā fā.eda kyā hai
jab ek kamre meñ rahnā paḌegā donoñ ko
ab is kahānī ko ik moḌ kī zarūrat hai
ab is kahānī meñ marnā paḌegā donoñ ko
ye jaan kar bhī ta.alluq baḌhānā Thiik nahīñ
ki agle saal bichhaḌnā paḌegā donoñ ko
qadam qadam pe zamāna milegā rāhoñ meñ
qadam qadam pe sambhalnā paḌegā donoñ ko
visal aise bhi mahnga paDega donon ko
bichhaDne ke liye milna paDega donon ko
phir aise tark-e-talluq ka faeda kya hai
jab ek kamre mein rahna paDega donon ko
ab is kahani ko ek moD ki zarurat hai
ab is kahani mein marna paDega donon ko
ye jaan kar bhi talluq baDhana Thik nahin
ki agle sal bichhaDna paDega donon ko
qadam qadam pe zamana milega rahon mein
qadam qadam pe sambhalna paDega donon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.