visal-o-hijr ke janjal mein paDa hua hun
visāl-o-hijr ke janjāl meñ paḌā huā huuñ
meñ arsh-e-rau kahāñ pātāl meñ paḌā huā huuñ
vahī ghuTan, vahī ma.amūl zindagī, vahī ġham
kahāñ maiñ jashn na.e saal meñ paḌā huā huuñ
yahāñ se niklūñ kisī aur kā shikār banūñ
isī liye to tire jaal meñ paḌā huā huuñ
garebāñ chāk, dhuāñ, jaam, haath meñ cigarette
shab-e-firāq, ajab haal meñ paḌā huā huuñ
pahuñch chukā hai zamāna zamīñ se chāñd tilak
kahāñ maiñ zulf, nazar, gaal meñ paḌā huā huuñ
visal-o-hijr ke janjal mein paDa hua hun
mein arsh-e-rau kahan patal mein paDa hua hun
wahi ghuTan, wahi mamul zindagi, wahi gham
kahan main jashn nae sal mein paDa hua hun
yahan se niklun kisi aur ka shikar banun
isi liye to tere jal mein paDa hua hun
gareban chaak, dhuan, jam, hath mein cigarette
shab-e-firaq, ajab haal mein paDa hua hun
pahunch chuka hai zamana zamin se chand tilak
kahan main zulf, nazar, gal mein paDa hua hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.