visal-o-hijr ki hamein latafaten kahan milin
visāl-o-hijr kī hameñ latāfateñ kahāñ milīñ
sukūn-e-qalb de sakeñ vo rāhateñ kahāñ milīñ
kahāñ ke māh-o-najm ab ye dahshatoñ kā daur hai
ḳhayāl-e-husn yaad kī nazākateñ kahāñ milīñ
ye un kā shahr-e-ārzū bhī kitnā zar-nigāh hai
maiñ DhūñDhtī hī rah ga.ī sadāqateñ kahāñ milīñ
tabīb bhī habīb bhī shafīq bhī bahut mile
mile to dost har jagah rifāqateñ kahāñ milīñ
vo siitā hoñ ki daraupadī vo lailā hoñ ki hiir hoñ
vafā ke naam par unheñ zamānateñ kahāñ milīñ
hazār dāstāñ likheñ suḳhan-tarāz laakh hoñ
raqam hoñ lauh-e-dil pe jo ibārateñ kahāñ milīñ
sitam bhī hañs ke sah liye qubūl jurm kar liye
maiñ be-qusūr thī magar shahādateñ kahāñ milīñ
visal-o-hijr ki hamein latafaten kahan milin
sukun-e-qalb de saken wo rahaten kahan milin
kahan ke mah-o-najm ab ye dahshaton ka daur hai
KHayal-e-husn yaad ki nazakaten kahan milin
ye un ka shahr-e-arzu bhi kitna zar-nigah hai
main DhunDhti hi rah gai sadaqaten kahan milin
tabib bhi habib bhi shafiq bhi bahut mile
mile to dost har jagah rifaqaten kahan milin
wo sita hon ki daraupadi wo laila hon ki hir hon
wafa ke nam par unhen zamanaten kahan milin
hazar dastan likhen suKHan-taraaz lakh hon
raqam hon lauh-e-dil pe jo ibaraten kahan milin
sitam bhi hans ke sah liye qubul jurm kar liye
main be-qusur thi magar shahadaten kahan milin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.