visal-rut ki kamai samajh mein aane lagi
visāl-rut kī kamā.ī samajh meñ aane lagī
judā hue to judā.ī samajh meñ aane lagī
qafas ke paar kī duniyā kā husn khilne lagā
rihā hue to rihā.ī samajh meñ aane lagī
use bhī apnī bhalā.ī kī fikr lāhaq thī
hameñ bhī apnī bhalā.ī samajh meñ aane lagī
khulī jab aañkh gumāñ se yaqīn kī jānib
to manzaroñ kī ikaa.ī samajh meñ aane lagī
bas ek din hī guzārā thā be-gharī meñ 'safīr'
ḳhudā kī saarī ḳhudā.ī samajh meñ aane lagī
visal-rut ki kamai samajh mein aane lagi
juda hue to judai samajh mein aane lagi
qafas ke par ki duniya ka husn khilne laga
riha hue to rihai samajh mein aane lagi
use bhi apni bhalai ki fikr lahaq thi
hamein bhi apni bhalai samajh mein aane lagi
khuli jab aankh guman se yaqin ki jaanib
to manzaron ki ikai samajh mein aane lagi
bas ek din hi guzara tha be-ghari mein 'safir'
KHuda ki sari KHudai samajh mein aane lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.