wo aa gae hain bughz ka jazba liye hue
wo aa gae hain bughz ka jazba liye hue
Syed Khadime Rasul Aini
MORE BYSyed Khadime Rasul Aini
vo aa ga.e haiñ buġhz kā jazba liye hue
ham se musālahat kā irāda liye hue
hai sāmne faqīr ke shāhoñ kā aisā haal
sarvat khaḌī hai haath meñ kaasa liye hue
ham DhūñDte haiñ rahbar-e-kāmil ko hind meñ
husn-e-amal kā qalb meñ jazba liye hue
haiñ ḳhushk-sāliyāñ kahīñ jānoñ meñ ik vabāl
bārish kahīñ hai qahr kā naqsha liye hue
maqbūliyat ho aisī ki tum kuuch jab karo
har shaḳhs aa.e haath meñ tamġha liye hue
hotā gayā tabādala 'ainī' nagar nagar
har jā maiñ pahuñchā pyaar kā tohfa liye hue
wo aa gae hain bughz ka jazba liye hue
hum se musalahat ka irada liye hue
hai samne faqir ke shahon ka aisa haal
sarwat khaDi hai hath mein kasa liye hue
hum DhunDte hain rahbar-e-kaamil ko hind mein
husn-e-amal ka qalb mein jazba liye hue
hain KHushk-saliyan kahin jaanon mein ek wabaal
barish kahin hai qahr ka naqsha liye hue
maqbuliyat ho aisi ki tum kuch jab karo
har shaKHs aae hath mein tamgha liye hue
hota gaya tabaadala 'aini' nagar nagar
har ja main pahuncha pyar ka tohfa liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.