wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha
vo aa gayā to saarā parī-ḳhāna jī uThā
ārā.ish-e-jamāl se ā.īna jī uThā
mujh tak pahuñch gayā to baḌī baat jāniye
āvāz-e-pā se jis kī mirā ziina jī uThā
yārān-e-mai-kada jo kabhī yaad aa ga.e
mujh meñ ḳhumār-e-mahfil-e-pārīna jī uThā
the dīdanī libāsoñ meñ tarshe hue badan
oḌhī jo us ne shaal to pashmīna jī uThā
chaa.e kī mez par ga.ī shāmoñ kā zikr thā
mujh meñ bhī ik ta.alluq-e-derīna jī uThā
wo aa gaya to sara pari-KHana ji uTha
aaraish-e-jamal se aaina ji uTha
mujh tak pahunch gaya to baDi baat jaaniye
aawaz-e-pa se jis ki mera zina ji uTha
yaran-e-mai-kada jo kabhi yaad aa gae
mujh mein KHumar-e-mahfil-e-parina ji uTha
the didani libason mein tarshe hue badan
oDhi jo us ne shaal to pashmina ji uTha
chae ki mez par gai shamon ka zikr tha
mujh mein bhi ek talluq-e-derina ji uTha
- Book : Sang-ge-Sada (Pg. 270)
- Author : Zubair Razvi
- Publication : Zehne Jadid, New Delhi (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.