wo aa ke hath pe jis waqt dil banati hai
vo aa ke haath pe jis vaqt dil banātī hai
mire badan meñ harārat sī phail jaatī hai
tumhāre shahr se guzrā to ye khulā mujh par
havā meñ ‘uud kī ḳhushbū kahāñ se aatī hai
kabhī ḳhayāl meñ aatī hai jhūltī rassī
kabhī to rail kī paTrī mujhe bulātī hai
jo mere lab pe hañsī hai barā-e-duniyā hai
jo merī aañkh meñ ġham hai vo merā zaatī hai
tumhāre aane se aayā hai ab yaqīñ 'anjum'
ye zindagī bhī baḌe mo'jize dikhātī hai
wo aa ke hath pe jis waqt dil banati hai
mere badan mein hararat si phail jati hai
tumhaare shahr se guzra to ye khula mujh par
hawa mein ‘ud ki KHushbu kahan se aati hai
kabhi KHayal mein aati hai jhulti rassi
kabhi to rail ki paTri mujhe bulati hai
jo mere lab pe hansi hai bara-e-duniya hai
jo meri aankh mein gham hai wo mera zati hai
tumhaare aane se aaya hai ab yaqin 'anjum'
ye zindagi bhi baDe mo'jize dikhati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.