wo aa rahe hain husn-e-KHud-ara liye hue
vo aa rahe haiñ husn-e-ḳhud-ārā liye hue
hai zarra zarra baḳht-e-surayyā liye hue
josh-e-alam daroġh ḳhumār-e-nashāt jhuuT
terā hī vahm hai ye tamāshā liye hue
un kā harīm-e-nāz hai ġhārat-gar-e-havās
lauTā hai kaun qalb-e-shakebā liye hue
be-ḳhud na kyoñ kisī ke tasavvur meñ ham raheñ
har har nafas hai sāġhar-e-sahbā liye hue
maujoñ kā josh detā hai tūfān kī ḳhabar
imroz hai haqīqat-e-fardā liye hue
bāġh-e-jahāñ kī sair ko zauq-e-nazar hai shart
nargis na ban tū dīda-e-bīnā liye hue
'zā.iq' chhupā.e rakhtā huuñ yuuñ dil meñ rāz-e-dost
jaise sadaf meñ gauhar-e-yaktā liye hue
wo aa rahe hain husn-e-KHud-ara liye hue
hai zarra zarra baKHt-e-surayya liye hue
josh-e-alam darogh KHumar-e-nashat jhuT
tera hi wahm hai ye tamasha liye hue
un ka harim-e-naz hai ghaarat-gar-e-hawas
lauTa hai kaun qalb-e-shakeba liye hue
be-KHud na kyon kisi ke tasawwur mein hum rahen
har har nafas hai saghar-e-sahba liye hue
maujon ka josh deta hai tufan ki KHabar
imroz hai haqiqat-e-farda liye hue
bagh-e-jahan ki sair ko zauq-e-nazar hai shart
nargis na ban tu dida-e-bina liye hue
'zaiq' chhupae rakhta hun yun dil mein raaz-e-dost
jaise sadaf mein gauhar-e-yakta liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.