wo aadat hai to aadat se kinare ho bhi sakta hai
vo aadat hai to aadat se kināre ho bhī saktā hai
magar is saarī koshish meñ ḳhasāra ho bhī saktā hai
raheñge saath phir bhī ham mohabbat mar ga.ī kyā ġham
ki masnūī tanaffus par guzārā ho bhī saktā hai
agar āñkheñ na bhar aa.eñ to dil muTThī meñ aa.egā
huā hai haal jo merā tumhārā ho bhī saktā hai
khulī āñkhoñ meñ Thahrā ḳhvāb kaise TuuT saktā hai
gumāñ ye zindagī bhar kā sahārā ho bhī saktā hai
jo itnī jagmagāhaT dekhte ho ās-pās apne
ye merī aañkh se TuuTā sitāra ho bhī saktā hai
hameñ hairat se mat dekho ab aisā kyā kiyā ham ne
zamīnī ishq hai sāhab dobāra ho bhī saktā hai
wo aadat hai to aadat se kinare ho bhi sakta hai
magar is sari koshish mein KHasara ho bhi sakta hai
rahenge sath phir bhi hum mohabbat mar gai kya gham
ki masnui tanaffus par guzara ho bhi sakta hai
agar aankhen na bhar aaen to dil muTThi mein aaega
hua hai haal jo mera tumhaara ho bhi sakta hai
khuli aankhon mein Thahra KHwab kaise TuT sakta hai
guman ye zindagi bhar ka sahaara ho bhi sakta hai
jo itni jagmagahaT dekhte ho aas-pas apne
ye meri aankh se TuTa sitara ho bhi sakta hai
hamein hairat se mat dekho ab aisa kya kiya hum ne
zamini ishq hai sahab dobara ho bhi sakta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.