wo aadmi jo teri aarzu mein marta hai
vo aadmī jo tirī aarzū meñ martā hai
vo tujh se pyaar nahīñ ḳhud se ishq kartā hai
fazā meñ ḳhauf ke parcham buland hote haiñ
savād-e-shām se lashkar koī guzartā hai
mirī zamīñ ke bulāve ġhazab ke haiñ lekin
koī junūñ mire par rāt-din katartā hai
maiñ apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhūñ
shikasta zarf dobāra kahīñ sañvartā hai
lage hue haiñ jahāñ par visāl ke ḳheme
udhar se hijr kā rahvār bhī guzartā hai
wo aadmi jo teri aarzu mein marta hai
wo tujh se pyar nahin KHud se ishq karta hai
faza mein KHauf ke parcham buland hote hain
sawad-e-sham se lashkar koi guzarta hai
meri zamin ke bulawe ghazab ke hain lekin
koi junun mere par raat-din katarta hai
main apne aap ko ab kis ke chaak par rakkhun
shikasta zarf dobara kahin sanwarta hai
lage hue hain jahan par visal ke KHeme
udhar se hijr ka rahwar bhi guzarta hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 285)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.