wo aadmi mujhe pariyon ki dastan ka laga
vo aadmī mujhe pariyoñ kī dāstāñ kā lagā
hasīñ thā itnā kisī aur hī jahāñ kā lagā
vo ḳhadd-o-ḳhāl the pūrab ke yā ki pachchhim ke
jab us ko ġhaur se dekhā kahāñ kahāñ kā lagā
hazār vasvase lāhaq the jis ke milne par
jab us ke dil ko TaTolā to mehrbāñ kā lagā
milā jab us se to thā itnī bad-havāsī meñ
ġhazal meñ qāfiya mujh se yahāñ-vahāñ kā lagā
fasurda shaam thī so us ke ghar basar kar dī
jab us kā husn-e-amal mujh ko mezbāñ kā lagā
agar milī bhī kabhī dhuup kī jhalak us meñ
to phir mizāj meñ 'ātir' vo sā.ebāñ kā lagā
wo aadmi mujhe pariyon ki dastan ka laga
hasin tha itna kisi aur hi jahan ka laga
wo KHadd-o-KHal the purab ke ya ki pachchhim ke
jab us ko ghaur se dekha kahan kahan ka laga
hazar waswase lahaq the jis ke milne par
jab us ke dil ko TaTola to mehrban ka laga
mila jab us se to tha itni bad-hawasi mein
ghazal mein qafiya mujh se yahan-wahan ka laga
fasurda sham thi so us ke ghar basar kar di
jab us ka husn-e-amal mujh ko mezban ka laga
agar mili bhi kabhi dhup ki jhalak us mein
to phir mizaj mein 'atir' wo saeban ka laga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.