wo aae aur pas se ho kar guzar gae
vo aa.e aur paas se ho kar guzar ga.e
ham dekhte hī rah ga.e jaane kidhar ga.e
shāyad ye sab navishta-e-taqdīr hī to hai
saare hasīn ḳhvāb jo dekhe bikhar ga.e
vo aise be-ḳhabar haiñ ki ye bhī ḳhabar nahīñ
ham imtihān-e-shauq meñ jaañ se guzar ga.e
pūchhā kisī ne tark-e-ta'alluq kā jab sabab
aañsū hamārī chashm-e-mohabbat meñ bhar ga.e
baiThe haiñ ek ham hī tire intizār meñ
aa.e the jitne log sabhī apne ghar ga.e
wo aae aur pas se ho kar guzar gae
hum dekhte hi rah gae jaane kidhar gae
shayad ye sab nawishta-e-taqdir hi to hai
sare hasin KHwab jo dekhe bikhar gae
wo aise be-KHabar hain ki ye bhi KHabar nahin
hum imtihan-e-shauq mein jaan se guzar gae
puchha kisi ne tark-e-ta'alluq ka jab sabab
aansu hamari chashm-e-mohabbat mein bhar gae
baiThe hain ek hum hi tere intizar mein
aae the jitne log sabhi apne ghar gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.